Friday 20 April 2012

Muhammad Rafi-Raat ke hamsafar (duet with Asha Bhosle) Lyrics


 

F: Raat ke hamsafar, thak ke ghar ko chale

Jhoomti aa rahi hai subah pyaar ki
M: Dekh kar saamne, roop ki roshani
Phir luti ja rahi hai subah pyaar ki

F: Sonewaalon ko hans kar jagaana bhi hai
Raat ke jaag tumko sulaana bhi hai
Deti hai jaag ne ki sadaa saath hi
Loriyaan gaa rahi hai subah pyaar ki
M: Raat ke hamasafar...

M: Raat ne pyaar ke jaam bhar kar diye
Aankhon, aankhon se jo main ne tumne piye
Hosh to ab talaq ja ke laute nahi
Jaane kya la rahi hai subah pyaar ki
F: Raat ke hamasafar...

M: Kya, kya waade hue kisne khaayi kasam
F: Is nayi raah par humne rakhhe kadam
Both: Chhup sadaa pyaar kab hum chhupaaye to kya
Sab samajh pa rahi hai subah pyaar ki
Raat ke hamasafar...

No comments:

Post a Comment